pehla nasha
JO JEETA WOHI SIKANDAR
Lyrics:
Chaahe tum kuchh na kaho maine sun liya
Ki saathi pyaar ka mujhe chun liya
Chun liya
Maine Sun liya
Pehla nasha
Pehla khumaar
Naya pyaar hai naya intezaar
Kar loon main kya apna haal
Aye dil-e-bekaraar
Mere dil-e-bekaraar
Tu hi bata
Pehla nasha
Pehla khumaar
Udta hi firoon in hawaon mein kahin
Ya main jhool jaoon in ghataon mein kahin
Udta hi firoon in hawaon mein kahin
Ya main jhool jaoon in ghataon mein kahin
Ek kar doon aasmaan zameen
Kaho yaaron kya karoon kya nahin
Pehla nasha
Pehla khumaar
Naya pyaar hai naya intezaar
Kar loon main kya apna haal
Aye dil-e-bekaraar
Mere dil-e-bekaraar
Tu hi bata
Pehla nasha
Pehla khumaar
Usne baat ki kuchh aise dhang se
Sapne de gaya vo hazaaron range ke
Usne baat ki kuchh aise dhang se
Sapne de gaya vo hazaaron range ke
Reh jaoon jaise main haar ke
Aur choome vo mujhe pyaar se
Pehla nasha
Pehla khumaar
Naya pyaar hai naya intezaar
Kar loon main kya apna haal
Aye dil-e-bekaraar
Mere dil-e-bekaraar
5 Comments:
Bahot achchhi koshish hai.
Lekin, aap ko urdu naGHmoN ko roman rasmul-KHat meiN baKHoobi likhne keliye bahot mehnat karni hogi.
Aap(1 pakistani) ke likhe alfaaz dekh kar behad afsos hua, aor laga keh aap ko Urdu bilkul naheeN aati.
Maaf kareN.
6:38 PM
اگر اردو ميں لکھنا شروع کريں تو پڑھنے ميں سب کو آساني رہے گي۔
ويسے يہ گانا بہت مشہور ہوا تھا
2:11 AM
soory urdudaan sahib.. aasal main main nay iss ko aik indian site say copy kiya hay tha. likan jasay hi time milay ga main iss ko saahi saahi URDU rasm-ul-khat main lkih kar post karon ga.... INSHALLAH
8:28 PM
nice attempt,,do u like poetry????????????????????????????????????/which type of poetry?????
11:22 PM
wel aik bat confuse kar rahi hay ap ka star gemini hay ya virgo??????????
11:22 PM
Post a Comment
<< Home